yan sarkashan jo sahab-e-taj o lawa hue
yaañ sarkashāñ jo sāhab-e-tāj o lavā hue
pāmāl ho ga.e to na jaanā ki kyā hue
dekhī na ek chashmak-e-gul bhī chaman meñ aah
ham āḳhir bahār-e-qafas se rahā hue
pachhtāoge bahut jo ga.e ham jahāñ se
aadam kī qadr hotī hai zāhir judā hue
tujh bin dimāġh sohbat-e-ahl-e-chaman na thā
gul vā hue hazār vale ham na vā hue
sar de ke 'mīr' ham ne farāġhat kī 'ishq meñ
zimme hamāre bojh thā baare adā hue
yan sarkashan jo sahab-e-taj o lawa hue
pamal ho gae to na jaana ki kya hue
dekhi na ek chashmak-e-gul bhi chaman mein aah
hum aaKHir bahaar-e-qafas se raha hue
pachhtaoge bahut jo gae hum jahan se
aadam ki qadr hoti hai zahir juda hue
tujh bin dimagh sohbat-e-ahl-e-chaman na tha
gul wa hue hazar wale hum na wa hue
sar de ke 'mir' hum ne faraghat ki 'ishq mein
zimme hamare bojh tha bare ada hue
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 1, Ghazal No- 0498
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.