taqat nahin hai ji mein nai ab jigar raha hai
tāqat nahīñ hai jī meñ nai ab jigar rahā hai
phir dil sitam-rasīda ik zulm kar rahā hai
maarā hai kis ko zālim us be-salīqagī se
dāman tamām terā lohū meñ bhar rahā hai
pahuñchā thā teġh khīñche mujh tak jo bole dushman
kyā mārtā hai us ko ye aaphī mar rahā hai
aane kahā hai mere ḳhush-qad ne raat guzre
hañgāma-e-qayāmat ab sub.h par rahā hai
chal ham-nashīñ ki dekheñ āvāra 'mīr' ko Tak
ḳhāna-ḳharāb vo bhī aaj apne ghar rahā hai
taqat nahin hai ji mein nai ab jigar raha hai
phir dil sitam-rasida ek zulm kar raha hai
mara hai kis ko zalim us be-saliqagi se
daman tamam tera lohu mein bhar raha hai
pahuncha tha tegh khinche mujh tak jo bole dushman
kya marta hai us ko ye aaphi mar raha hai
aane kaha hai mere KHush-qad ne raat guzre
hangama-e-qayamat ab subh par raha hai
chal ham-nashin ki dekhen aawara 'mir' ko Tak
KHana-KHarab wo bhi aaj apne ghar raha hai
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 1, Ghazal No- 0531
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.