humne jaana tha suKHan honge zaban par kitne
ham ne jaanā thā suḳhan hoñge zabāñ par kitne
par qalam haath jo aa.ī likhe daftar kitne
maiñ ne is us sannā' se sar khīñchā hai
ki har ik kūche meñ jis ke the hunar-var kitne
kishvar-e-ishq ko ābād na dekhā ham ne
har galī-kūche meñ uujaḌ paḌe the ghar kitne
aah niklī hai ye kis kī havas sair-e-bahār
aate haiñ baaġh meñ āvāra hue par kitne
dekhiyo panja-e-mizhgāñ kī Tak ātish-dastī
har sahar ḳhaak meñ milte haiñ dar-e-tar kitne
kab talak ye dil-e-sad-pāra nazar meñ rakhiye
us par āñkheñ hī siye rahte haiñ dilbar kitne
'umr guzrī ki nahīñ do aadam se koī
jis taraf dekhiye 'arse meñ haiñ ab ḳhar kitne
tū hai bechāra gadā 'mīr' tirā kyā mazkūr
mil ga.e ḳhaak meñ yaañ sāhab afsar kitne
hum ne jaana tha suKHan honge zaban par kitne
par qalam hath jo aai likhe daftar kitne
main ne is us sanna' se sar khincha hai
ki har ek kuche mein jis ke the hunar-war kitne
kishwar-e-ishq ko aabaad na dekha hum ne
har gali-kuche mein ujaD paDe the ghar kitne
aah nikli hai ye kis ki hawas sair-e-bahaar
aate hain bagh mein aawara hue par kitne
dekhiyo panja-e-mizhgan ki Tak aatish-dasti
har sahar KHak mein milte hain dar-e-tar kitne
kab talak ye dil-e-sad-para nazar mein rakhiye
us par aankhen hi siye rahte hain dilbar kitne
'umr guzri ki nahin do aadam se koi
jis taraf dekhiye 'arse mein hain ab KHar kitne
tu hai bechaara gada 'mir' tera kya mazkur
mil gae KHak mein yan sahab afsar kitne
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 1, Ghazal No- 0553
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.