ramaq ek jaan-e-wabaal hai koi dam jo hai to azab hai
ramaq ek jān-e-vabāl hai koī dam jo hai to azaab hai
dil-e-dāġh gashta kabāb hai jigar gudāḳhta aab hai
mirī ḳhalq mahv-e-kalām sab mujhe chhoḌte haiñ ḳhamosh kab
mirā harf rashk-e-kitāb hai marī baat likhne kā baab hai
jo vo likhtā kuchh bhī to nāma-bar koī rahtī muñh meñ tire nihāñ
tirī ḳhāmushī se ye nikle hai ki javāb ḳhat kā javāb hai
rahe haal dil kā jo ek sā to rujūa karte kahīñ bhalā
so tū ye kabhū hama daaġh hai kabhū nīm-soz kabāb hai
kaheñge kaho tumheñ log kyā yahī aarsī yahī tum sadā
na kaso kī tum ko hai Tak hayā na hamāre muñh se hijāb hai
chalo mai-kade meñ basar kareñ ki rahī hai kuchh barakat vahīñ
lab-e-nā-tovāñ kā kabāb hai dam-e-ābvāñ kā sharāb hai
nahīñ khultīñ āñkheñ tumhārī Tak ki ma.aal par bhī nazar karo
ye jo vahm kī sī numūd hai use ḳhuub dekho to ḳhvāb hai
ga.e vaqt aate haiñ haath kab hue haiñ gañvā ke ḳharāb sab
tujhe karnā hove so kar tū ab ki ye umr barq-e-shattāb hai
kabhū lutf se na suḳhan kyā kabhū baat kah na lagā liyā
yahī lahza lahza ḳhitāb hai vahī lamha lamha itaab hai
tū jahāñ ke bahr-e-amīq meñ sar par huā na buland kar
ki ye panj-roza jo buud hai kaso mauj-e-pur kā habāb hai
rakho aarzū mai-e-ḳhām kī karo guftugū ḳhat-e-jām kī
ki siyāh caroñ se hashr meñ na hisāb hai na kitāb hai
mirā shor sun ke jo logoñ ne kiyā pūchhnā tū kahe hai kyā
jise 'mīr' kahte haiñ sāhibo ye vahī to ḳhāna-ḳharāb hai
ramaq ek jaan-e-wabaal hai koi dam jo hai to azab hai
dil-e-dagh gashta kabab hai jigar gudaKHta aab hai
meri KHalq mahw-e-kalam sab mujhe chhoDte hain KHamosh kab
mera harf rashk-e-kitab hai mari baat likhne ka bab hai
jo wo likhta kuchh bhi to nama-bar koi rahti munh mein tere nihan
teri KHamushi se ye nikle hai ki jawab KHat ka jawab hai
rahe haal dil ka jo ek sa to rujua karte kahin bhala
so tu ye kabhu hama dagh hai kabhu nim-soz kabab hai
kahenge kaho tumhein log kya yahi aarsi yahi tum sada
na kaso ki tum ko hai Tak haya na hamare munh se hijab hai
chalo mai-kade mein basar karen ki rahi hai kuchh barakat wahin
lab-e-na-towan ka kabab hai dam-e-abwan ka sharab hai
nahin khultin aankhen tumhaari Tak ki maal par bhi nazar karo
ye jo wahm ki si numud hai use KHub dekho to KHwab hai
gae waqt aate hain hath kab hue hain ganwa ke KHarab sab
tujhe karna howe so kar tu ab ki ye umr barq-e-shattab hai
kabhu lutf se na suKHan kya kabhu baat kah na laga liya
yahi lahza lahza KHitab hai wahi lamha lamha itab hai
tu jahan ke bahr-e-amiq mein sar par hua na buland kar
ki ye panj-roza jo bud hai kaso mauj-e-pur ka habab hai
rakho aarzu mai-e-KHam ki karo guftugu KHat-e-jam ki
ki siyah caron se hashr mein na hisab hai na kitab hai
mera shor sun ke jo logon ne kiya puchhna tu kahe hai kya
jise 'mir' kahte hain sahibo ye wahi to KHana-KHarab hai
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 1, Ghazal No- 0571
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.