KHub the we din ki hum tere giraftaron mein the
ḳhuub the ve din ki ham tere giraftāroñ meñ the
ġham-zadoñ andoh-gīnoñ zulm ke māroñ meñ the
dushmanī jaanī hai ab to ham se ġhairoñ ke liye
ik samāñ sā ho gayā vo bhī ki ham yāroñ meñ the
mat tabaḳhtūr se guzar qumrī hamārī ḳhaak par
ham bhī ik sarv-e-ravāñ ke nāz-bardāroñ meñ the
mar ga.e lekin na dekhā tū ne ūdhar aañkh uThā
aah kyā kyā log zālim tere bīmāroñ meñ the
shaiḳh-jī mindīl kuchh bigḌī sī hai kyā aap bhī
rindoñ bāñkoñ mai-kashoñ āshufta dastāroñ meñ the
garche jurm-e-ishq ġhairoñ par bhī sābit thā vale
qatl karnā thā hameñ ham hī gunahgāroñ meñ the
ik rahā mizhgāñ kī saf meñ ek ke TukḌe hue
dil jigar jo 'mīr' donoñ apne ġham-ḳhvāroñ meñ the
KHub the we din ki hum tere giraftaron mein the
gham-zadon andoh-ginon zulm ke maron mein the
dushmani jaani hai ab to hum se ghairon ke liye
ek saman sa ho gaya wo bhi ki hum yaron mein the
mat tabaKHtur se guzar qumri hamari KHak par
hum bhi ek sarw-e-rawan ke naz-bardaron mein the
mar gae lekin na dekha tu ne udhar aankh uTha
aah kya kya log zalim tere bimaron mein the
shaiKH-ji mindil kuchh bigDi si hai kya aap bhi
rindon bankon mai-kashon aashufta dastaron mein the
garche jurm-e-ishq ghairon par bhi sabit tha wale
qatl karna tha hamein hum hi gunahgaron mein the
ek raha mizhgan ki saf mein ek ke TukDe hue
dil jigar jo 'mir' donon apne gham-KHwaron mein the
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 1, Ghazal No- 0607
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.