tegh-e-sitam se uski mera sar juda hua
teġh-e-sitam se us kī mirā sar judā huā
shukr ḳhudā ki haq mohabbat adā huā
qāsid ko de ke ḳhat nahīñ kuchh bhejnā zarūr
jaatā hai ab to jī hī hamārā chalā huā
vo to nahīñ ki ashk thame hī na aañkh se
nikle hai koī laḳht-e-dil ab sau jalā huā
hairān rañg bāġh-e-jahāñ thā bahut rukā
tasvīr kī kalī kī tarah dil na vā huā
aalam kī be-fizā.ī se tañg aa ga.e the ham
jaagā se dil gayā jo hamārā bajā huā
dar pe hamāre jī ke huā ġhair ke liye
anjām-e-kār mudda.ī kā mudda.ā huā
us ke ga.e pe dil kī ḳharābī na pochhiye
jaise kaso kā koī nagar ho luTā huā
bad-tar hai ziist marg se hijrān-e-yār meñ
bīmār dil bhalā na huā to bhalā huā
kahtā thā 'mīr' haal to jab tak to thā bhalā
kuchh zabt karte karte tirā haal kyā huā
tegh-e-sitam se us ki mera sar juda hua
shukr KHuda ki haq mohabbat ada hua
qasid ko de ke KHat nahin kuchh bhejna zarur
jata hai ab to ji hi hamara chala hua
wo to nahin ki ashk thame hi na aankh se
nikle hai koi laKHt-e-dil ab sau jala hua
hairan rang bagh-e-jahan tha bahut ruka
taswir ki kali ki tarah dil na wa hua
aalam ki be-fizai se tang aa gae the hum
jaga se dil gaya jo hamara baja hua
dar pe hamare ji ke hua ghair ke liye
anjam-e-kar muddai ka muddaa hua
us ke gae pe dil ki KHarabi na pochhiye
jaise kaso ka koi nagar ho luTa hua
bad-tar hai zist marg se hijran-e-yar mein
bimar dil bhala na hua to bhala hua
kahta tha 'mir' haal to jab tak to tha bhala
kuchh zabt karte karte tera haal kya hua
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 2, Ghazal No- 0670
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.