KHat se wo zor safa-e-husn ab kam ho gaya
ḳhat se vo zor safā-e-husn ab kam ho gayā
chāh-e-yūsuf thā zaqan so chāh-e-rustam ho gayā
sīna-kobī-e-sañg se dil-e-ḳhūn hone meñ rahī
haq-ba-jānib thā hamāre saḳht mātam ho gayā
ek sā aalam nahīñ rahtā hai us aalam ke beach
ab jahāñ koī nahīñ yaañ ek aalam ho gayā
aañkh ke laḌte tirī āshob sā barpā huā
zulf ke dirham hue ik jam.a barham ho gayā
us lab-e-jāñ-baḳhsh kī hasrat ne maarā jaan se
āb-e-haivāñ yaman-e-tāle.a se mire sam ho gayā
vaqt tab tak thā to sajda masjidoñ meñ kufr thā
fā.eda ab jab ki qad mehrāb sā ḳham ho gayā
ishq un shahrī ġhazāloñ kā junūñ ko ab khiñchā
vahshat-e-dil baḌh ga.ī ārām-e-jāñ ram ho gayā
jī khiñche jaate haiñ fart-e-shauq se āñkhoñ kī aur
jin ne dekhā ek-dam us ko so be-dam ho gayā
ham ne jo kuchh us se dekhā so ḳhilāf-e-chashm-e-dāsht
apnā izrā.īl vo jaan mujassam ho gayā
kyā kahūñ kyā tarheñ badleñ chaah ne āḳhir ko 'mīr'
thā girah jo dard chhātī meñ so ab ġham ho gayā
KHat se wo zor safa-e-husn ab kam ho gaya
chah-e-yusuf tha zaqan so chah-e-rustam ho gaya
sina-kobi-e-sang se dil-e-KHun hone mein rahi
haq-ba-jaanib tha hamare saKHt matam ho gaya
ek sa aalam nahin rahta hai us aalam ke beach
ab jahan koi nahin yan ek aalam ho gaya
aankh ke laDte teri aashob sa barpa hua
zulf ke dirham hue ek jama barham ho gaya
us lab-e-jaan-baKHsh ki hasrat ne mara jaan se
aab-e-haiwan yaman-e-talea se mere sam ho gaya
waqt tab tak tha to sajda masjidon mein kufr tha
faeda ab jab ki qad mehrab sa KHam ho gaya
ishq un shahri ghazalon ka junun ko ab khincha
wahshat-e-dil baDh gai aaram-e-jaan ram ho gaya
ji khinche jate hain fart-e-shauq se aankhon ki aur
jin ne dekha ek-dam us ko so be-dam ho gaya
hum ne jo kuchh us se dekha so KHilaf-e-chashm-e-dasht
apna izrail wo jaan mujassam ho gaya
kya kahun kya tarhen badlen chah ne aaKHir ko 'mir'
tha girah jo dard chhati mein so ab gham ho gaya
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 2, Ghazal No- 0677
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.