aalam mein koi dil ka talabgar na paya
'ālam meñ koī dil kā talabgār na paayā
is jins kā yaañ ham ne ḳharīdār na paayā
haq DhūñDne kā aap ko aatā nahīñ varna
'ālam hai sabhī yaar kahāñ yaar na paayā
ġhairoñ hī ke hāthoñ meñ rahe dast-e-nigārīñ
kab ham ne tire haath se āzār na paayā
jaatī hai nazar ḳhas pe gah-e-chashm parīdan
yaañ ham ne par-e-kāh bhī be-kār na paayā
tasvīr ke mānind lage dar hī se guzrī
majlis meñ tirī ham ne kabhū baar na paayā
sūrāḳh hai siine meñ har ik shaḳhs ke tujh se
kis dil ke tarah tīr-e-nigah paar na paayā
marbūt haiñ tujh se bhī yahī nā-kas-o-nā-ahl
us baaġh meñ ham ne gul-e-be-ḳhār na paayā
dam baa'd junūñ mujh meñ na mahsūs thā yā'nī
jaame meñ mire yāroñ ne ik taar na paayā
ā.īna bhī hairat se mohabbat kī hue ham
par sair ho is shaḳhs kā dīdār na paayā
vo khīñch ke shamshīr sitam rah gayā jo 'mīr'
ḳhūñ-rezī kā yaañ koī sazā-vār na paayā
'alam mein koi dil ka talabgar na paya
is jins ka yan hum ne KHaridar na paya
haq DhunDne ka aap ko aata nahin warna
'alam hai sabhi yar kahan yar na paya
ghairon hi ke hathon mein rahe dast-e-nigarin
kab hum ne tere hath se aazar na paya
jati hai nazar KHas pe gah-e-chashm paridan
yan hum ne par-e-kah bhi be-kar na paya
taswir ke manind lage dar hi se guzri
majlis mein teri hum ne kabhu bar na paya
suraKH hai sine mein har ek shaKHs ke tujh se
kis dil ke tarah tir-e-nigah par na paya
marbut hain tujh se bhi yahi na-kas-o-na-ahl
us bagh mein hum ne gul-e-be-KHar na paya
dam ba'd junun mujh mein na mahsus tha ya'ni
jame mein mere yaron ne ek tar na paya
aaina bhi hairat se mohabbat ki hue hum
par sair ho is shaKHs ka didar na paya
wo khinch ke shamshir sitam rah gaya jo 'mir'
KHun-rezi ka yan koi saza-war na paya
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 1, Ghazal No- 0055
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.