samjhe the mir hum ki ye nasur kam hua
samjhe the 'mīr' ham ki ye nāsūr kam huā
phir un dinoñ maiñ dīda-e-ḳhūñ-bār nam huā
aa.e ba-rañg-e-abr araq-nāk tum udhar
hairān huuñ ki aaj kidhar ko karam huā
tujh bin sharāb pī ke muue sab tire ḳharāb
saaqī baġhair tere unheñ jām-e-sam huā
kāfir hamāre dil kī na pūchh apne 'ishq meñ
bait-ul-harām thā so vo bait-us-sanam huā
ḳhāna-ḳharāb kis kā kiyā terī chashm ne
thā kaun yuuñ jise tū nasīb ek dam huā
talvār kis ke ḳhuun meñ sar Duub hai tirī
ye kis ajal-rsīda ke ghar par sitam huā
aa.ī nazar jo gor sulaimāñ kī ek roz
kūche par us mazār ke thā ye raqam huā
kā-e-sar-kashāñ jahān meñ khīñchā thā meñ bhī sar
pāyān-e-kār mor kī ḳhāk-e-qadam huā
afsos kī bhī chashm thī un se ḳhilāf-e-aql
bār-e-ilāqa se to 'abas pusht-e-ḳham huā
ahl-e-jahāñ haiñ saare tire jīte-jī talak
pūchheñge bhī na baat jahāñ to 'adam huā
kyā kyā 'azīz dost mile 'mīr' ḳhaak meñ
nādān yaañ kaso kā kaso ko bhī ġham huā
samjhe the 'mir' hum ki ye nasur kam hua
phir un dinon main dida-e-KHun-bar nam hua
aae ba-rang-e-abr araq-nak tum udhar
hairan hun ki aaj kidhar ko karam hua
tujh bin sharab pi ke mue sab tere KHarab
saqi baghair tere unhen jam-e-sam hua
kafir hamare dil ki na puchh apne 'ishq mein
bait-ul-haram tha so wo bait-us-sanam hua
KHana-KHarab kis ka kiya teri chashm ne
tha kaun yun jise tu nasib ek dam hua
talwar kis ke KHun mein sar Dub hai teri
ye kis ajal-rsida ke ghar par sitam hua
aai nazar jo gor sulaiman ki ek roz
kuche par us mazar ke tha ye raqam hua
ka-e-sar-kashan jahan mein khincha tha mein bhi sar
payan-e-kar mor ki KHak-e-qadam hua
afsos ki bhi chashm thi un se KHilaf-e-aql
bar-e-ilaqa se to 'abas pusht-e-KHam hua
ahl-e-jahan hain sare tere jite-ji talak
puchhenge bhi na baat jahan to 'adam hua
kya kya 'aziz dost mile 'mir' KHak mein
nadan yan kaso ka kaso ko bhi gham hua
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 1, Ghazal No- 0062
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.