be-kasana ji giraftari se shewan mein raha
be-kasāna jī giraftārī se shevan meñ rahā
ik dil-e-ġham-ḳhvār rakhte the so gulshan meñ rahā
panja-e-gul kī tarah dīvāngī meñ haath ko
gar nikālā meñ garebāñ se to dāman meñ rahā
sham' saañ jalte rahe lekin na toḌā yaar se
rishta-e-ulfat tamāmī 'umr gardan meñ rahā
Dar se us shamshīr-zan ke jauhar ā.īna saañ
sar se le kar paañv tak maiñ ġharq aahan meñ rahā
ham na kahte the ki mat dair-o-haram kī raah chal
ab ye dā'vā hashr tak shaiḳh-o-barahman meñ rahā
darpai-e-dil hī rahe us chehre ke ḳhāl-e-siyāh
Dar hameñ un choñtoñ kā roz-e-raushan meñ rahā
aah kis andāz se guzrā bayābāñ se ki 'mīr'
jī har ik naḳhchīr kā us said-e-afgan meñ rahā
be-kasana ji giraftari se shewan mein raha
ek dil-e-gham-KHwar rakhte the so gulshan mein raha
panja-e-gul ki tarah diwangi mein hath ko
gar nikala mein gareban se to daman mein raha
sham' san jalte rahe lekin na toDa yar se
rishta-e-ulfat tamami 'umr gardan mein raha
Dar se us shamshir-zan ke jauhar aaina san
sar se le kar panw tak main gharq aahan mein raha
hum na kahte the ki mat dair-o-haram ki rah chal
ab ye da'wa hashr tak shaiKH-o-barahman mein raha
darpai-e-dil hi rahe us chehre ke KHal-e-siyah
Dar hamein un chonton ka roz-e-raushan mein raha
aah kis andaz se guzra bayaban se ki 'mir'
ji har ek naKHchir ka us said-e-afgan mein raha
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 1, Ghazal No- 0073
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.