raat pyasa tha mere lohu ka
raat pyāsā thā mere lohū kā
huuñ divāna tire sag ko kā
shola-e-āh jūñ-tūñ ab mujh ko
fikr hai apne har bin mū kā
hai mire yaar kī misoñ kā rashk
kushta huuñ sabza-e-lab-e-jū kā
bosa denā mujhe na kar mauqūf
hai vazīfa yahī duā-go kā
maiñ ne talvār se hiran maare
ishq kar terī chashm-o-abrū kā
shor qulqul ke hotī thī maane
rīsh-e-qāzī pe raat maiñ thūkā
itr-āgīñ hai bād-e-sub.h magar
khul gayā pech-e-zulf ḳhushbū kā
ek do huuñ to sahar-e-chashm kahūñ
kārḳhāna hai vaañ to jaadū kā
'mīr' har-chand maiñ ne chāhā lek
na chhupā ishq-e-tifl bad-ḳhū kā
naam us kā liyā idhar-ūdhar
uḌ gayā rañg hī mire rū kā
raat pyasa tha mere lohu ka
hun diwana tere sag ko ka
shola-e-ah jun-tun ab mujh ko
fikr hai apne har bin mu ka
hai mere yar ki mison ka rashk
kushta hun sabza-e-lab-e-ju ka
bosa dena mujhe na kar mauquf
hai wazifa yahi dua-go ka
main ne talwar se hiran mare
ishq kar teri chashm-o-abru ka
shor qulqul ke hoti thi mane
rish-e-qazi pe raat main thuka
itr-agin hai baad-e-subh magar
khul gaya pech-e-zulf KHushbu ka
ek do hun to sahar-e-chashm kahun
karKHana hai wan to jadu ka
'mir' har-chand main ne chaha lek
na chhupa ishq-e-tifl bad-KHu ka
nam us ka liya idhar-udhar
uD gaya rang hi mere ru ka
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 1, Ghazal No- 0133
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.