mera dil aisa toDa hai kisi ne
mirā dil aisā toḌā hai kisī ne
kahīñ kā bhī na chhoḌā hai kisī ne
bahut shaffāf hai paanī yahāñ kā
to kyā dāman nichoḌā hai kisī ne
maiñ ġhaflat meñ paḌā thā muddatoñ se
mujhe aa kar jhiñjhoḌā hai kisī ne
mohabbat kī kahānī kyā batā.eñ
banā kar apnā chhoḌā hai kisī ne
shikan māthe kī terī kah rahī hai
kalā.ī ko maroḌā hai kisī ne
mirā hī naam likkhā hogā 'fārūq'
vo ik kāġhaz jo moḌā hai kisī ne
mera dil aisa toDa hai kisi ne
kahin ka bhi na chhoDa hai kisi ne
bahut shaffaf hai pani yahan ka
to kya daman nichoDa hai kisi ne
main ghaflat mein paDa tha muddaton se
mujhe aa kar jhinjhoDa hai kisi ne
mohabbat ki kahani kya bataen
bana kar apna chhoDa hai kisi ne
shikan mathe ki teri kah rahi hai
kalai ko maroDa hai kisi ne
mera hi nam likkha hoga 'faruq'
wo ek kaghaz jo moDa hai kisi ne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.