mera dil ajab shadmani mein gum hai
mirā dil ajab shādmānī meñ gum hai
ki vo aaj merī kahānī meñ gum hai
samajhtā hai dil tere tarz-e-suḳhan ko
magar terī jādū-bayānī meñ gum hai
maiñ huuñ fitratan mauj se laḌne vaalā
vo mallāh kyā jo ravānī meñ gum hai
use kyā patā kyā hai sahrā-navardī
havāoñ kī jo be-zabānī meñ gum hai
bahut Tiis uThtī hai dekhe se us ko
vo kyā hai jo terī nishānī meñ gum hai
usī kā to haq motiyoñ par hai 'anjum'
samundar kī jo be-karānī meñ gum hai
mera dil ajab shadmani mein gum hai
ki wo aaj meri kahani mein gum hai
samajhta hai dil tere tarz-e-suKHan ko
magar teri jadu-bayani mein gum hai
main hun fitratan mauj se laDne wala
wo mallah kya jo rawani mein gum hai
use kya pata kya hai sahra-nawardi
hawaon ki jo be-zabani mein gum hai
bahut Tis uThti hai dekhe se us ko
wo kya hai jo teri nishani mein gum hai
usi ka to haq motiyon par hai 'anjum'
samundar ki jo be-karani mein gum hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.