mera dil bhi mera ab dil kahan hai
mirā dil bhī mirā ab dil kahāñ hai
ḳhudā jaane mirī manzil kahāñ hai
talātum hī talātum haiñ nazar meñ
mirī kashtī mirā sāhil kahāñ hai
ba-zāhir TuuT kar miltā hai lekin
vo pahlā sā ḳhulūs-e-dil kahāñ hai
tamāzat-ḳhez hai rāh-e-masā.il
batāo rahbaro manzil kahāñ hai
na.e mausam na.ī rañgīniyāñ haiñ
magar vo raunaq-e-mahfil kahāñ hai
zamāna kah rahā hai jis ko qātil
nazar meñ un kī vo qātil kahāñ hai
mera dil bhi mera ab dil kahan hai
KHuda jaane meri manzil kahan hai
talatum hi talatum hain nazar mein
meri kashti mera sahil kahan hai
ba-zahir TuT kar milta hai lekin
wo pahla sa KHulus-e-dil kahan hai
tamazat-KHez hai rah-e-masail
batao rahbaro manzil kahan hai
nae mausam nai ranginiyan hain
magar wo raunaq-e-mahfil kahan hai
zamana kah raha hai jis ko qatil
nazar mein un ki wo qatil kahan hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.