mera dil is liye dhaDka nahin hai
mirā dil is liye dhaḌkā nahīñ hai
palaT kar us ne jo dekhā nahīñ hai
ilāhī maiñ kahāñ par aa ga.ī huuñ
ujālā bhī jahāñ ujlā nahīñ hai
ye aañsū bhī musāfir haiñ jabhī to
unheñ maiñ ne kabhī rokā nahīñ hai
vahī ik ḳhvāb hotā hai asāsa
hamāre paas jo hotā nahīñ hai
to kyā ab zulm had se baḌh gayā hai
jo koī ab talak royā nahīñ hai
palaTnā bhī nahīñ 'shāhīn' maiñ ne
aur aage bhī koī rasta nahīñ hai
mera dil is liye dhaDka nahin hai
palaT kar us ne jo dekha nahin hai
ilahi main kahan par aa gai hun
ujala bhi jahan ujla nahin hai
ye aansu bhi musafir hain jabhi to
unhen main ne kabhi roka nahin hai
wahi ek KHwab hota hai asasa
hamare pas jo hota nahin hai
to kya ab zulm had se baDh gaya hai
jo koi ab talak roya nahin hai
palaTna bhi nahin 'shahin' main ne
aur aage bhi koi rasta nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.