mera dil na tha alam-ashna ki teri ada pe nazar paDi
mirā dil na thā alam-āshnā ki tirī adā pe nazar paḌī
vo na jaane kaun sā vaqt thā ki binā-e-ḳhūn-e-jigar paḌī
jise chāhe mālik-e-rañg-o-bū usī be-ruḳhī meñ navāz de
maiñ idhar thā muntazir-e-karam vo nigāh-e-nāz udhar paḌī
tirā kaam sair-e-mudām hai na ki gulsitānoñ meñ Thaharnā
ye kalī kalī ke fareb meñ tū kahāñ se bād-e-sahar paḌī
koī mauj-e-bahr se duur hai to jabīn-e-bahr pe kyā shikan
tirī rahmatoñ ko huā ye kyā mirī laġhzishoñ pe nazar paḌī
tujhe kyā ho qadr malāl kī tū hai nā-rasīda-e-zindagī
jo bahut phire haiñ galī galī tū jabīñ pe gard-e-safar paḌī
sar-e-rāh un ko ba-yak-nazar kabhī dekhiye to vahī adā
vahī be-niyāzī-e-mahvashāñ vahī zulf tā-ba-kamar paḌī
ba-nigāh-e-sāqī-e-mahr-o-mah kabhī ḳhālī jaam nahīñ rahā
maiñ zamīñ pe DhūñD rahā thā kuchh ki vo kahkashāñ se utar paḌī
jo hudūd-e-sub.h meñ ruk gayā use ittifāq-e-safar kaho
maiñ vahī musāfir-e-shām huuñ mire rāste meñ sahar paḌī
mera dil na tha alam-ashna ki teri ada pe nazar paDi
wo na jaane kaun sa waqt tha ki bina-e-KHun-e-jigar paDi
jise chahe malik-e-rang-o-bu usi be-ruKHi mein nawaz de
main idhar tha muntazir-e-karam wo nigah-e-naz udhar paDi
tera kaam sair-e-mudam hai na ki gulsitanon mein Thaharna
ye kali kali ke fareb mein tu kahan se baad-e-sahar paDi
koi mauj-e-bahr se dur hai to jabin-e-bahr pe kya shikan
teri rahmaton ko hua ye kya meri laghzishon pe nazar paDi
tujhe kya ho qadr malal ki tu hai na-rasida-e-zindagi
jo bahut phire hain gali gali tu jabin pe gard-e-safar paDi
sar-e-rah un ko ba-yak-nazar kabhi dekhiye to wahi ada
wahi be-niyazi-e-mahwashan wahi zulf ta-ba-kamar paDi
ba-nigah-e-saqi-e-mahr-o-mah kabhi KHali jam nahin raha
main zamin pe DhunD raha tha kuchh ki wo kahkashan se utar paDi
jo hudud-e-subh mein ruk gaya use ittifaq-e-safar kaho
main wahi musafir-e-sham hun mere raste mein sahar paDi
- Book : Sawad-e-manzil (Pg. 236)
- Author : Nushoor Wahedi
- Publication : Maktaba Jamia Ltd, Delhi (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.