mera dil nahin hai mere hat tum bin
mirā dil nahīñ hai mere haat tum bin
ḳhush aatī nahīñ kisī kī baat tum bin
ghaTā ġham ashk paanī aah bijlī
barastā hai ajab barsāt tum bin
pukāroñ kyuuñ na maiñ ''he dost he dost''
ki har shab qatl kī hai raat tum bin
kabhī to aa.egī phir vasl kī aan
kiyā ġham ne mire par ghaat tum bin
'sirāj' az-bas ki hai be-tāb-e-dīdār
use hai zindagī sakrāt tum bin
mera dil nahin hai mere hat tum bin
KHush aati nahin kisi ki baat tum bin
ghaTa gham ashk pani aah bijli
barasta hai ajab barsat tum bin
pukaron kyun na main he dost he dost
ki har shab qatl ki hai raat tum bin
kabhi to aaegi phir wasl ki aan
kiya gham ne mere par ghat tum bin
'siraj' az-bas ki hai be-tab-e-didar
use hai zindagi sakraat tum bin
- Book : Kulliyat-e-Siraj (Pg. 485)
- Author : Siraj Aurangabadi
- Publication : Qaumi Council Baraye-Farogh Urdu (1982,1998)
- Edition : 1982,1998
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.