mera din KHubsurat yun bana deta to kya hota
mirā din ḳhūbsūrat yuuñ banā detā to kyā hotā
vo ham ko pyaar se aa kar jagā detā to kyā hotā
bahut vā'de kiye the aap ne to saath rahne ke
mohabbat meñ agar ik do nibhā dete to kyā hotā
mirā is shab kī tārīkī se dil bechain hotā hai
ruḳh-e-anvar se vo parda haTā dete to kyā hotā
musavvir huuñ tasavvur aap kī tasvīr hai merā
tumheñ gar apnī yādoñ se miTā dete to kyā hotā
maiñ kab se muntazir thā aap kī nazar-e-karāmat kā
jo lamhe bhar ko hī chehra dikhā dete to kyā hotā
'ajab ye shauq hai galiyoñ meñ terī roz aatā huuñ
tirī rāhoñ meñ hī ghar ko banā dete to kyā hotā
maiñ apne zaḳhm ḳhud hī dekh kar ḳhud se ye kahtā huuñ
vo hañs kar Taal jaate haiñ sazā dete to kyā hotā
hai un kī shā'irī kā bhī bahut charchā zabānoñ par
ġhazal ham ko bhī vo 'haidar' sunā dete to kyā hotā
mera din KHubsurat yun bana deta to kya hota
wo hum ko pyar se aa kar jaga deta to kya hota
bahut wa'de kiye the aap ne to sath rahne ke
mohabbat mein agar ek do nibha dete to kya hota
mera is shab ki tariki se dil bechain hota hai
ruKH-e-anwar se wo parda haTa dete to kya hota
musawwir hun tasawwur aap ki taswir hai mera
tumhein gar apni yaadon se miTa dete to kya hota
main kab se muntazir tha aap ki nazar-e-karamat ka
jo lamhe bhar ko hi chehra dikha dete to kya hota
'ajab ye shauq hai galiyon mein teri roz aata hun
teri rahon mein hi ghar ko bana dete to kya hota
main apne zaKHm KHud hi dekh kar KHud se ye kahta hun
wo hans kar Tal jate hain saza dete to kya hota
hai un ki sha'iri ka bhi bahut charcha zabanon par
ghazal hum ko bhi wo 'haidar' suna dete to kya hota
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.