mera faKHr-e-hayati aaj bhi kirdar hai mera
mirā faḳhr-e-hayātī aaj bhī kirdār hai merā
isī nag se muzayyan turra-e-dastār hai merā
koī pūchhe to yuuñ bantā hai jaise yaar hai merā
vo us pal mujh ko bhī lagtā gale kā haar hai merā
samundar meñ utar kar farsh tak jaanā zarūrī hai
tumheñ ma.alūm hogā kitnā gahrā pyaar hai merā
abhī phūloñ ke chehroñ par tabassum aa.egā kaise
abhī māyūsiyoñ meñ mubtalā gulzār hai merā
mujhe pahchānñe vaale bahut kuchh pūchh sakte haiñ
baḌī muddat huī chhūTā huā bāzār hai merā
mirī sohbat-pasandī kam huī hai jāntā huuñ maiñ
abhī bhī zaḳhm-e-tanhā.ī magar nā-chār hai merā
mera faKHr-e-hayati aaj bhi kirdar hai mera
isi nag se muzayyan turra-e-dastar hai mera
koi puchhe to yun banta hai jaise yar hai mera
wo us pal mujh ko bhi lagta gale ka haar hai mera
samundar mein utar kar farsh tak jaana zaruri hai
tumhein malum hoga kitna gahra pyar hai mera
abhi phulon ke chehron par tabassum aaega kaise
abhi mayusiyon mein mubtala gulzar hai mera
mujhe pahchanne wale bahut kuchh puchh sakte hain
baDi muddat hui chhuTa hua bazar hai mera
meri sohbat-pasandi kam hui hai jaanta hun main
abhi bhi zaKHm-e-tanhai magar na-chaar hai mera
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.