mera gham-gusar koi nahin kisi lab pe aai dua nahin
mera gham-gusar koi nahin kisi lab pe aai dua nahin
Jagjeewan Lal Asthana sahar
MORE BYJagjeewan Lal Asthana sahar
mirā ġham-gusār koī nahīñ kisī lab pe aa.ī du'ā nahīñ
mire chārāgar tire paas bhī mire dard-e-dil kī davā nahīñ
kabhī saath saath hai tū mire kabhī duur tak bhī piyā nahīñ
mire ham-safar tirī dostī kā ye raaz kyā hai khulā nahīñ
tirī aarzū mirī zindagī tirī justujū mirī bandagī
tirī yaad merī namāz hai koī kaam is ke sivā nahīñ
vahī be-ḳhudī vahī sarḳhushī vahī be-hoshī vahī gumrahī
mujhe aap apnī talāsh hai maiñ kahāñ huuñ mujh ko patā nahīñ
ye to apnā apnā ḳhulūs hai ye to apnā apnā sulūk hai
koī chāhne se girā nahīñ koī pūchhne se uThā nahīñ
tujhe māñgne se milegā kyā tirā sar jhukāne se hogā kyā
ye to pattharoñ kā jahān hai yahāñ koī terā ḳhudā nahīñ
maiñ ḳhizāñ-nasīb sadā rahā maiñ bharī bahār meñ luT gayā
mujhe raas aa.ī na zindagī mujhe mil ke kuchh bhī milā nahīñ
na to ab ḳhushī kī talāsh hai na sukūn kī mujhe aarzū
yahī zindagī kā hai faisla ki ḳhushī bhī ġham ke sivā nahīñ
vo nafas nafas meñ ḳhalish tirī vo tire ḳhulūs kī be-ruḳhī
tujhe har qadam yahī ḳhauf hai tirā ġham to mujh se judā nahīñ
vahī dil meñ hai vahī lab pe hai vahī āñsuoñ meñ ravāñ-davāñ
use kaise bhūlūñ 'sahar' batā jo mire nafas se judā nahīñ
mera gham-gusar koi nahin kisi lab pe aai du'a nahin
mere chaaragar tere pas bhi mere dard-e-dil ki dawa nahin
kabhi sath sath hai tu mere kabhi dur tak bhi piya nahin
mere ham-safar teri dosti ka ye raaz kya hai khula nahin
teri aarzu meri zindagi teri justuju meri bandagi
teri yaad meri namaz hai koi kaam is ke siwa nahin
wahi be-KHudi wahi sarKHushi wahi be-hoshi wahi gumrahi
mujhe aap apni talash hai main kahan hun mujh ko pata nahin
ye to apna apna KHulus hai ye to apna apna suluk hai
koi chahne se gira nahin koi puchhne se uTha nahin
tujhe mangne se milega kya tera sar jhukane se hoga kya
ye to pattharon ka jahan hai yahan koi tera KHuda nahin
main KHizan-nasib sada raha main bhari bahaar mein luT gaya
mujhe ras aai na zindagi mujhe mil ke kuchh bhi mila nahin
na to ab KHushi ki talash hai na sukun ki mujhe aarzu
yahi zindagi ka hai faisla ki KHushi bhi gham ke siwa nahin
wo nafas nafas mein KHalish teri wo tere KHulus ki be-ruKHi
tujhe har qadam yahi KHauf hai tera gham to mujh se juda nahin
wahi dil mein hai wahi lab pe hai wahi aansuon mein rawan-dawan
use kaise bhulun 'sahar' bata jo mere nafas se juda nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.