mera gham tha na-mukammal gham-e-na-gahan se pahle
mirā ġham thā nā-mukammal ġham-e-nā-gahāñ se pahle
mirī ziist be-maza thī tire imtihāñ se pahle
ye mizāj-e-āshiqī hai ye mizāj-e-zindagī hai
ġham-e-dost chāhtā huuñ ġham-e-do-jahāñ se pahle
tirī yaad se munavvar haiñ vo rāste abhī tak
tirī justujū meñ guzrā maiñ jahāñ jahāñ se pahle
tire sang-e-dar se pūchhe koī is jabīñ kī qīmat
jo kahīñ na ḳham huī ho tire āstāñ se pahle
ye maqām-e-ishq 'jauhar' hai baḌī hī saḳht manzil
ka.ī kārvāñ hue gum mire kārvāñ se pahle
mera gham tha na-mukammal gham-e-na-gahan se pahle
meri zist be-maza thi tere imtihan se pahle
ye mizaj-e-ashiqi hai ye mizaj-e-zindagi hai
gham-e-dost chahta hun gham-e-do-jahan se pahle
teri yaad se munawwar hain wo raste abhi tak
teri justuju mein guzra main jahan jahan se pahle
tere sang-e-dar se puchhe koi is jabin ki qimat
jo kahin na KHam hui ho tere aastan se pahle
ye maqam-e-ishq 'jauhar' hai baDi hi saKHt manzil
kai karwan hue gum mere karwan se pahle
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.