mera hai do-jahan mein rahnuma dil
mera hai do-jahan mein rahnuma dil
Abul Baqa Sabr Saharanpuri
MORE BYAbul Baqa Sabr Saharanpuri
mirā hai do-jahāñ meñ rahnumā dil
payambar dil hai ka.aba dil ḳhudā dil
milā jaisā mujhe ik bevafā dil
kisī ko bhī na de aisā ḳhudā dil
ye ā.īna kudūrat se barī hai
safā.ī meñ hai merā haq-numā dil
yahāñ piirī nahīñ chaltī ḳhizar kī
tarīq-e-ishq meñ hai rahnumā dil
bigaḌtā hai vo zālim mujh se jitnā
mirā aatā hai aur us par sivā dil
jahāñ meñ sāhib-e-qismat vahī hai
muqaddar se huā jis ko atā dil
hai har dam muztarib har lahza betāb
mujhe bhī kyā milā sab se judā dil
jo pūchhe dushman-e-jāñ hai tirā kaun
kahūñ maiñ saikḌoñ meñ barmalā dil
nikalne kī kahīñ jab rah na paa.ī
to ḳhuuñ ho ho ke āñkhoñ se bahā dil
balā ke daam meñ jā kar phañsā hai
na terī zulf se hogā rihā dil
mire pahlū meñ āḳhir kyoñ hai betāb
dikhātā phir rahā huuñ jā-ba-jā dil
tamanna dil hai apnā dil hai matlab
hamārī aarzū dil mudda.ā dil
tire ḳhanjar ne baḳhshī umr-e-jāved
duā-go huuñ maiñ qātil lab se tā-dil
abhī chheḌo na mujh ko ai nakīrain
Thikāne par to aane do zarā dil
zamāne kī zabāñ par dil hī dil hai
batā.e to koī hai chiiz kyā dil
hamārī 'sabr' dil se chal rahī hai
yahī jī meñ hai ab to ham haiñ yā dil
mera hai do-jahan mein rahnuma dil
payambar dil hai kaba dil KHuda dil
mila jaisa mujhe ek bewafa dil
kisi ko bhi na de aisa KHuda dil
ye aaina kudurat se bari hai
safai mein hai mera haq-numa dil
yahan piri nahin chalti KHizar ki
tariq-e-ishq mein hai rahnuma dil
bigaDta hai wo zalim mujh se jitna
mera aata hai aur us par siwa dil
jahan mein sahib-e-qismat wahi hai
muqaddar se hua jis ko ata dil
hai har dam muztarib har lahza betab
mujhe bhi kya mila sab se juda dil
jo puchhe dushman-e-jaan hai tera kaun
kahun main saikDon mein barmala dil
nikalne ki kahin jab rah na pai
to KHun ho ho ke aankhon se baha dil
bala ke dam mein ja kar phansa hai
na teri zulf se hoga riha dil
mere pahlu mein aaKHir kyon hai betab
dikhata phir raha hun ja-ba-ja dil
tamanna dil hai apna dil hai matlab
hamari aarzu dil muddaa dil
tere KHanjar ne baKHshi umr-e-jawed
dua-go hun main qatil lab se ta-dil
abhi chheDo na mujh ko ai nakirain
Thikane par to aane do zara dil
zamane ki zaban par dil hi dil hai
batae to koi hai chiz kya dil
hamari 'sabr' dil se chal rahi hai
yahi ji mein hai ab to hum hain ya dil
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.