mera hi KHauf har ek moD par mile hai mujhe
mirā hī ḳhauf har ik moḌ par mile hai mujhe
navāh-e-jāñ koī aaseb sā lage hai mujhe
maiñ dāstāñ kī tarah har sadī ke zehn meñ huuñ
koī likhe hai mujhe aur koī paḌhe hai mujhe
jo mere qad ko añdheroñ meñ chhoḌ aayā thā
shuā-e-zar kī tarah saath le chale hai mujhe
maiñ kyā huuñ kaun huuñ pahchān meñ nahīñ aatā
jo jis ke jī meñ samā.e hai so kahe hai mujhe
maiñ tez-gām jo manzil kī samt baḌhtā huuñ
kisī kī ābla-pā.ī pukār le hai mujhe
jahāñ nahīñ hai vahāñ bhī haiñ us ke hangāme
har ik maqām se us kī ḳhabar mile hai mujhe
jo ek umr mire roz-o-shab kā sāthī thā
koī batāo ki vo shaḳhs kyā kahe hai mujhe
maiñ apnā lahn shuāoñ ko baañT aayā huuñ
ye ehtisāb abas be-navā kare hai mujhe
yahī libās to pahchān ban gayā hai mirī
ye merā ḳhirqa-e-pārīna hī saje hai mujhe
shajar phalā hai to sau haath baḌh rahe haiñ 'shakeb'
har ek shāḳh pe apnā hī sar lage hai mujhe
mera hi KHauf har ek moD par mile hai mujhe
nawah-e-jaan koi aaseb sa lage hai mujhe
main dastan ki tarah har sadi ke zehn mein hun
koi likhe hai mujhe aur koi paDhe hai mujhe
jo mere qad ko andheron mein chhoD aaya tha
shua-e-zar ki tarah sath le chale hai mujhe
main kya hun kaun hun pahchan mein nahin aata
jo jis ke ji mein samae hai so kahe hai mujhe
main tez-gam jo manzil ki samt baDhta hun
kisi ki aabla-pai pukar le hai mujhe
jahan nahin hai wahan bhi hain us ke hangame
har ek maqam se us ki KHabar mile hai mujhe
jo ek umr mere roz-o-shab ka sathi tha
koi batao ki wo shaKHs kya kahe hai mujhe
main apna lahn shuaon ko banT aaya hun
ye ehtisab abas be-nawa kare hai mujhe
yahi libas to pahchan ban gaya hai meri
ye mera KHirqa-e-parina hi saje hai mujhe
shajar phala hai to sau hath baDh rahe hain 'shakeb'
har ek shaKH pe apna hi sar lage hai mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.