mera ji go tujhe pyara nahin hai
mirā jī go tujhe pyārā nahīñ hai
par itnā bhī to nākārā nahīñ hai
haiñ aksar ḳhūb-rū obāsh lekin
koī tujh sā to āvārā nahīñ hai
jo dil le kar hue munkir tum is tarah
miyāñ ham ne bhī kuchh haarā nahīñ hai
hazāroñ aarzū dil meñ girah hai
pe kahne kā hameñ yaarā nahīñ hai
na marne dete haiñ 'qā.em' ko lekin
ḳhudāvandī se kuchh chāra nahīñ hai
mera ji go tujhe pyara nahin hai
par itna bhi to nakara nahin hai
hain aksar KHub-ru obash lekin
koi tujh sa to aawara nahin hai
jo dil le kar hue munkir tum is tarah
miyan hum ne bhi kuchh haara nahin hai
hazaron aarzu dil mein girah hai
pe kahne ka hamein yara nahin hai
na marne dete hain 'qaem' ko lekin
KHudawandi se kuchh chaara nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.