mera junun-e-mohabbat to koi raaz nahin
mirā junūn-e-mohabbat to koī raaz nahīñ
tire hī paas magar chashm-e-imtiyāz nahīñ
sabab ye hai jo hai tū kaif-e-ishq se mahrūm
ki soz-e-ishq to hai dil meñ tere saaz nahīñ
kuchh aur din use rakh ātish-e-mohabbat par
ki tere shīsha-e-dil meñ abhī gudāz nahīñ
vabāl-e-jāñ ho na kyoñ ishq ke asīroñ ko
vo dil jo terī mohabbat se sarfarāz nahīñ
karam kahūñ ise qudrat kā yā sitam samjhūñ
ki dil diyā hai magar koī dil-navāz nahīñ
bas ek lafz-e-mohabbat ke mā-sivā kyā hai
suneñ jo vo to mirī dāstāñ darāz nahīñ
atā-e-ḳhās hai terī mirā ye zauq-e-junūñ
atā pe naaz hai mujh ko junūñ pe naaz nahīñ
koī kisī se ye kah de ki merā ishq 'jalīl'
bahāna-sāz hai lekin zamāna-sāz nahīñ
mera junun-e-mohabbat to koi raaz nahin
tere hi pas magar chashm-e-imtiyaz nahin
sabab ye hai jo hai tu kaif-e-ishq se mahrum
ki soz-e-ishq to hai dil mein tere saz nahin
kuchh aur din use rakh aatish-e-mohabbat par
ki tere shisha-e-dil mein abhi gudaz nahin
wabaal-e-jaan ho na kyon ishq ke asiron ko
wo dil jo teri mohabbat se sarfaraaz nahin
karam kahun ise qudrat ka ya sitam samjhun
ki dil diya hai magar koi dil-nawaz nahin
bas ek lafz-e-mohabbat ke ma-siwa kya hai
sunen jo wo to meri dastan daraaz nahin
ata-e-KHas hai teri mera ye zauq-e-junun
ata pe naz hai mujh ko junun pe naz nahin
koi kisi se ye kah de ki mera ishq 'jalil'
bahana-saz hai lekin zamana-saz nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.