mera kaleja mere munh ko aa na jae kahin
mirā kaleja mire muñh ko aa na jaa.e kahīñ
tumhāre jaane kā ehsās khā na jaa.e kahīñ
vo dekhtā hai to bas dekhtā hī rahtā hai
vo nā-murād mire dil ko bhā na jaa.e kahīñ
kamāñ sañbhāl ke rakkhūñ maiñ apne hāthoñ meñ
mirā hī tiir mirī samt aa na jaa.e kahīñ
vo mil rahā hai kisī dūsre se hañs hañs kar
so us kā hañsnā bhī mujh ko rulā na jaa.e kahīñ
maiñ us se baat hī kartā nahīñ huuñ is ḳhātir
vo baat kar ke mirā sar ghumā na jaa.e kahīñ
mujhe ye Dar hai vo auzār-e-bevafā.ī se
mohabbatoñ kī 'imārat girā na jaa.e kahīñ
mera kaleja mere munh ko aa na jae kahin
tumhaare jaane ka ehsas kha na jae kahin
wo dekhta hai to bas dekhta hi rahta hai
wo na-murad mere dil ko bha na jae kahin
kaman sanbhaal ke rakkhun main apne hathon mein
mera hi tir meri samt aa na jae kahin
wo mil raha hai kisi dusre se hans hans kar
so us ka hansna bhi mujh ko rula na jae kahin
main us se baat hi karta nahin hun is KHatir
wo baat kar ke mera sar ghuma na jae kahin
mujhe ye Dar hai wo auzar-e-bewafai se
mohabbaton ki 'imarat gira na jae kahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.