mera KHayal hai paband-e-hasrat-o-azar
mirā ḳhayāl hai pāband-e-hasrat-o-āzār
mire gumān meñ bhī tū nahīñ surūr ko paar
mirā tabassum-e-be-kaif ḳhanda-e-bīmār
faroġh-e-ātish-e-dil sho.ala-e-charāġh-e-mazār
shabāb meñ bhī huuñ begāna-e-nashāt-e-shabāb
mirī bahār hai tasvīr-e-gulsitāñ kī bahār
ajiib tarah guzartī hai zindagī merī
na iztirāb kā aalam na rang-e-sabr-o-qarār
zarā sī Thes ġhazab hai vo ranj ho ki ḳhushī
kuchh is qadar hai dil-e-kam-nasīb ḳhasta-o-zār
is ibtidā kī hai kyā intihā kise ma.alūm
abhī to mauj-e-qafas meñ hai rang-e-kāvish-e-ḳhār
kisī se koī shikāyat nahīñ mujhe 'kaukab'
mirī sarisht hai mahzūñ mazāq ḳhud-āzār
mera KHayal hai paband-e-hasrat-o-azar
mere guman mein bhi tu nahin surur ko par
mera tabassum-e-be-kaif KHanda-e-bimar
farogh-e-atish-e-dil shoala-e-charagh-e-mazar
shabab mein bhi hun begana-e-nashat-e-shabab
meri bahaar hai taswir-e-gulsitan ki bahaar
ajib tarah guzarti hai zindagi meri
na iztirab ka aalam na rang-e-sabr-o-qarar
zara si Thes ghazab hai wo ranj ho ki KHushi
kuchh is qadar hai dil-e-kam-nasib KHasta-o-zar
is ibtida ki hai kya intiha kise malum
abhi to mauj-e-qafas mein hai rang-e-kawish-e-KHar
kisi se koi shikayat nahin mujhe 'kaukab'
meri sarisht hai mahzun mazaq KHud-azar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.