mera KHayal pareshan hai mera ghar tanha
mera KHayal pareshan hai mera ghar tanha
Uma Shankar Shadan Gwaliori
MORE BYUma Shankar Shadan Gwaliori
mirā ḳhayāl pareshāñ hai merā ghar tanhā
na jā.iye mujhe aise meñ chhoḌ kar tanhā
sahar se shaam ke ye fāsle nahīñ kaTte
udhar hai shaam akelī idhar sahar tanhā
qarīb rah ke bhī sadiyoñ kā fāsla hai abhī
maiñ kis qadar huuñ tire saath kis qadar tanhā
hamāre saath hai duniyā hamāre saath chaleñ
janāb-e-ḳhizr na bhaTkeñ idhar-udhar tanhā
vo ek lamha nahīñ jo tire tasavvur meñ
laraz rahā hai charāġh-e-ḳhayāl par tanhā
havā ḳhamosh safīna niDhāl dil zaḳhmī
khaḌā hai paanī meñ 'shādāñ' kamar kamar tanhā
mera KHayal pareshan hai mera ghar tanha
na jaiye mujhe aise mein chhoD kar tanha
sahar se sham ke ye fasle nahin kaTte
udhar hai sham akeli idhar sahar tanha
qarib rah ke bhi sadiyon ka fasla hai abhi
main kis qadar hun tere sath kis qadar tanha
hamare sath hai duniya hamare sath chalen
janab-e-KHizr na bhaTken idhar-udhar tanha
wo ek lamha nahin jo tere tasawwur mein
laraz raha hai charagh-e-KHayal par tanha
hawa KHamosh safina niDhaal dil zaKHmi
khaDa hai pani mein 'shadan' kamar kamar tanha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.