mera kya main to ruswa ho gaya na
mirā kyā maiñ to rusvā ho gayā nā
tumhārā ḳhvāb puurā ho gayā nā
maiñ kahtā thā ki maiñ piitā nahīñ huuñ
sar-e-mahfil tamāshā ho gayā nā
ġharībī meñ mohabbat kar lī maiñ ne
nayā ġham aur paidā ho gayā nā
chalo kuchh pyaar kī bāteñ kareñ ab
tumhārā ġhussa ThanDā ho gayā nā
ye duniyā chhūTtī hai chhūT jaa.e
are vo to hamārā ho gayā nā
mera kya main to ruswa ho gaya na
tumhaara KHwab pura ho gaya na
main kahta tha ki main pita nahin hun
sar-e-mahfil tamasha ho gaya na
gharibi mein mohabbat kar li main ne
naya gham aur paida ho gaya na
chalo kuchh pyar ki baaten karen ab
tumhaara ghussa ThanDa ho gaya na
ye duniya chhuTti hai chhuT jae
are wo to hamara ho gaya na
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.