mera libas-e-badan tar-tar karte hue
mirā libās-e-badan tār-tār karte hue
guzar gayā vo mujhe sharmsār karte hue
maiñ jis badan kī ḳharāshoñ pe chīḳh uThtā huuñ
vo hañs rahā thā kaleje pe vaar karte hue
palaTne vaale tujhe der ho na jaa.e kahīñ
maiñ mar na jā.ūñ tirā intizār karte hue
ye kaun samjhegā guzrā huuñ kis aziyyat se
kisī ke jhiil sī āñkhoñ ko paar karte hue
hazār rang dikhā.e ye gardish-e-daurāñ
guzar hī jā.eñge ham zikr-e-yār karte hue
mera libas-e-badan tar-tar karte hue
guzar gaya wo mujhe sharmsar karte hue
main jis badan ki KHarashon pe chiKH uThta hun
wo hans raha tha kaleje pe war karte hue
palaTne wale tujhe der ho na jae kahin
main mar na jaun tera intizar karte hue
ye kaun samjhega guzra hun kis aziyyat se
kisi ke jhil si aankhon ko par karte hue
hazar rang dikhae ye gardish-e-dauran
guzar hi jaenge hum zikr-e-yar karte hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.