mera mazi hai ek hathiyar mera
mirā maazī hai ik hathiyār merā
tamācha maut kā har vaar merā
zamāne ko badalne ke liye bas
hai bas kaafī dil-e-bīmār merā
zarūrat terī hogī jis ko hogī
mujhe kaafī hai ye añgār merā
ye merī bāteñ hañsne ko nahīñ haiñ
ki har ik lafz hai muḳhtār merā
chalā ke is ko mujh pe dekh le kyā
bigāḌegī tirī talvār merā
mera mazi hai ek hathiyar mera
tamacha maut ka har war mera
zamane ko badalne ke liye bas
hai bas kafi dil-e-bimar mera
zarurat teri hogi jis ko hogi
mujhe kafi hai ye angar mera
ye meri baaten hansne ko nahin hain
ki har ek lafz hai muKHtar mera
chala ke is ko mujh pe dekh le kya
bigaDegi teri talwar mera
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.