mera mahfil mein wo mohtat lahja bhi tumhin jaanam
mera mahfil mein wo mohtat lahja bhi tumhin jaanam
Shahjahan Jafri Hijab Amrohvi
MORE BYShahjahan Jafri Hijab Amrohvi
mirā mahfil meñ vo mohtāt lahja bhī tumhīñ jānam
mirī ḳhalvat kī sargoshī kā charchā bhī tumhīñ jānam
tasavvur bhī taḳhayyul bhī tamannā bhī tumhīñ jānam
safīna bhī talātum bhī ho dariyā bhī tumhīñ jānam
nazar se mārte ho aur hoñToñ se jalāte ho
mire qātil bhī tum mere masīhā bhī tumhīñ jānam
ye kyā manzar dikhāyā mujh ko ā.īne ne hairān huuñ
mire ḳhad-ḳhāl merā qad bhī chehra bhī tumhīñ jānam
mirī guftār kā mehvar mirī taḳh.īl kā markaz
takallum bhī talaffuz bhī ho lahja bhī tumhīñ jānam
mera mahfil mein wo mohtat lahja bhi tumhin jaanam
meri KHalwat ki sargoshi ka charcha bhi tumhin jaanam
tasawwur bhi taKHayyul bhi tamanna bhi tumhin jaanam
safina bhi talatum bhi ho dariya bhi tumhin jaanam
nazar se marte ho aur honTon se jalate ho
mere qatil bhi tum mere masiha bhi tumhin jaanam
ye kya manzar dikhaya mujh ko aaine ne hairan hun
mere KHad-KHal mera qad bhi chehra bhi tumhin jaanam
meri guftar ka mehwar meri taKHil ka markaz
takallum bhi talaffuz bhi ho lahja bhi tumhin jaanam
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.