mera misra-e-sani ho gaya hai
mirā misra-e-sānī ho gayā hai
vo ya.anī zindagānī ho gayā hai
bahā kar saath apne merī miTTī
ye dariyā paanī paanī ho gayā hai
bichhaḌ kar vo mohabbat baḌh ga.ī hai
tirā ġham khād-pānī ho gayā hai
ye āñkheñ ḳhvāb tere Dho rahī haiñ
tū kin āñkhoñ kā paanī ho gayā hai
vahī kartā hai saare faisle ab
jo dil kī rājdhānī ho gayā hai
mera misra-e-sani ho gaya hai
wo yani zindagani ho gaya hai
baha kar sath apne meri miTTi
ye dariya pani pani ho gaya hai
bichhaD kar wo mohabbat baDh gai hai
tera gham khad-pani ho gaya hai
ye aankhen KHwab tere Dho rahi hain
tu kin aankhon ka pani ho gaya hai
wahi karta hai sare faisle ab
jo dil ki rajdhani ho gaya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.