mera mushkil-kusha hai aur main hun
mirā mushkil-kushā hai aur maiñ huuñ
usī kā aasrā hai aur maiñ huuñ
mirā dast-e-duā hai aur maiñ huuñ
sadā-e-be-sadā hai aur maiñ huuñ
dil-e-ġham-āshnā hai aur maiñ huuñ
jafā-e-nā-ravā hai aur maiñ huuñ
sitam sahne kī aadat paḌ ga.ī hai
vafāoñ kā sila hai aur maiñ huuñ
maiñ kaise jhuuT bolūñ sochtā huuñ
muqābil aa.ina hai aur maiñ huuñ
jise tārīḳh kahtā hai zamāna
vo merā tazkira hai aur maiñ huuñ
vahīñ merī baqā kā rāsta hai
jahāñ merā ḳhudā hai aur maiñ huuñ
chale aao yahāñ koī nahīñ hai
mire dil kī sadā hai aur maiñ huuñ
tumheñ chhūne kī jin ko hai tamanna
vo ik pāgal havā hai aur meñ huuñ
'suhaib' aao ibādat kī ghaḌī hai
dar-e-mai-ḳhāna vā hai aur maiñ huuñ
mera mushkil-kusha hai aur main hun
usi ka aasra hai aur main hun
mera dast-e-dua hai aur main hun
sada-e-be-sada hai aur main hun
dil-e-gham-ashna hai aur main hun
jafa-e-na-rawa hai aur main hun
sitam sahne ki aadat paD gai hai
wafaon ka sila hai aur main hun
main kaise jhuT bolun sochta hun
muqabil aaina hai aur main hun
jise tariKH kahta hai zamana
wo mera tazkira hai aur main hun
wahin meri baqa ka rasta hai
jahan mera KHuda hai aur main hun
chale aao yahan koi nahin hai
mere dil ki sada hai aur main hun
tumhein chhune ki jin ko hai tamanna
wo ek pagal hawa hai aur mein hun
'suhaib' aao ibaadat ki ghaDi hai
dar-e-mai-KHana wa hai aur main hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.