mera nahin to wo apna hi kuchh KHayal kare
mirā nahīñ to vo apnā hī kuchh ḳhayāl kare
use kaho ki ta.alluq ko phir bahāl kare
nigāh-e-yār na ho to nikhar nahīñ paatā
koī jamāl kī jitnī bhī dekh-bhāl kare
mile to itnī ri.āyat atā kare mujh ko
mire javāb ko sun kar koī savāl kare
kalām kar ki mire lafz ko suhulat ho
tirā sukūt mirī guftugū muhāl kare
bulandiyoñ pe kahāñ tak tujhe talāsh karūñ
har ek saañs pe umr-e-ravāñ zavāl kare
vo hoñT hoñ ki tabassum sukūt ho ki suḳhan
tirā jamāl har ik rañg meñ kamāl kare
maiñ us kā phuul huuñ 'nayyar' so us pe chhoḌ diyā
vo gesuoñ meñ sajā.e ki pā.emāl kare
mera nahin to wo apna hi kuchh KHayal kare
use kaho ki talluq ko phir bahaal kare
nigah-e-yar na ho to nikhar nahin pata
koi jamal ki jitni bhi dekh-bhaal kare
mile to itni riayat ata kare mujh ko
mere jawab ko sun kar koi sawal kare
kalam kar ki mere lafz ko suhulat ho
tera sukut meri guftugu muhaal kare
bulandiyon pe kahan tak tujhe talash karun
har ek sans pe umr-e-rawan zawal kare
wo honT hon ki tabassum sukut ho ki suKHan
tera jamal har ek rang mein kamal kare
main us ka phul hun 'nayyar' so us pe chhoD diya
wo gesuon mein sajae ki paemal kare
- Book : Ghazal Calendar-2015 (Pg. 08.08.2015)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.