mera payam hai arbab-e-fikr-o-fan ke liye
mera payam hai arbab-e-fikr-o-fan ke liye
Shameem Farooq Banspari
MORE BYShameem Farooq Banspari
mirā payām hai arbāb-e-fikr-o-fan ke liye
ki man kā ḳhuuñ na kareñ irtaqā-e-tan ke liye
jahān-e-fikr meñ tasbīh bhī hai teġh bhī hai
vo ḳhud-shikan ke liye hai ye saf-shikan ke liye
mirī samajh meñ na yazdāniyoñ kī baat aa.ī
ik ahraman se laḌā.ī ik ahraman ke liye
tirā ye falsafa-e-ham-vajūdiyat ai dost
na shaiḳh ke liye mauzūñ na barhaman ke liye
badal ga.ī hai kuchh is tarah bāġhbāñ kī nazar
ki jaise merī zarūrat nahīñ chaman ke liye
kaho haram ke javānoñ se arziyāñ bhejeñ
ki ḳhādimoñ kī zarūrat hai barhaman ke liye
milī hai mujh ko añdheroñ se raushnī 'fārūq'
charāġh huuñ maiñ zamāne kī anjuman ke liye
mera payam hai arbab-e-fikr-o-fan ke liye
ki man ka KHun na karen irtaqa-e-tan ke liye
jahan-e-fikr mein tasbih bhi hai tegh bhi hai
wo KHud-shikan ke liye hai ye saf-shikan ke liye
meri samajh mein na yazdaniyon ki baat aai
ek ahraman se laDai ek ahraman ke liye
tera ye falsafa-e-ham-wajudiyat ai dost
na shaiKH ke liye mauzun na barhaman ke liye
badal gai hai kuchh is tarah baghban ki nazar
ki jaise meri zarurat nahin chaman ke liye
kaho haram ke jawanon se arziyan bhejen
ki KHadimon ki zarurat hai barhaman ke liye
mili hai mujh ko andheron se raushni 'faruq'
charagh hun main zamane ki anjuman ke liye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.