mera qatil to mera aashna hai
mirā qātil to merā āshnā hai
musalsal dard meñ dil mubtalā hai
na ab ke ho ga.ī shām-e-ġharībāñ
na jaane kab mirā ḳhema jalā hai
ba-zāhir zindagī to kaT rahī hai
basar karnī ajab sā mas.ala hai
merī palkoñ pe hai be-faiz dariyā
magar chehrā to dasht-e-karbalā hai
bichhaḌte vaqt mujh par hañsne vaalā
abhī kis ġham meñ itnā ro rahā hai
tumhāre saath rahnā thā muqaddar
magar yuuñ duur honā sāneha hai
javāñ lāsheñ uThā.ī jā rahī haiñ
mirī bastī to misl-e-karbalā hai
mera qatil to mera aashna hai
musalsal dard mein dil mubtala hai
na ab ke ho gai sham-e-ghariban
na jaane kab mera KHema jala hai
ba-zahir zindagi to kaT rahi hai
basar karni ajab sa masala hai
meri palkon pe hai be-faiz dariya
magar chehra to dasht-e-karbala hai
bichhaDte waqt mujh par hansne wala
abhi kis gham mein itna ro raha hai
tumhaare sath rahna tha muqaddar
magar yun dur hona saneha hai
jawan lashen uThai ja rahi hain
meri basti to misl-e-karbala hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.