mera qissa bhi aaega wafa ki dastanon mein
mirā qissa bhī aa.egā vafā kī dāstānoñ meñ
mujhe mat DhūñDte rahnā jafā kī dāstānoñ meñ
maiñ bint-e-havvā ik din meñ badal dūñgī zamāne ko
mujhe mat qaid kar nāz-o-adā kī dāstānoñ meñ
nazar-andāz mujh ko kar nahīñ saktī kabhī duniyā
mujhe likkhā gayā zehn-e-rasā kī dāstānoñ meñ
mirā dil toḌne vaale kabhī sochā hai ye tū ne
tirā hī naam aa.egā sazā kī dāstānoñ meñ
zarā pūchho havāoñ se ki ye kaise mo.attar haiñ
mujhe pāoge tum bād-e-sabā kī dāstānoñ meñ
mire shānoñ pe lahrāte hue bāloñ ko mat chheḌo
mirī zulfeñ bhī shāmil haiñ ghaTā kī dāstānoñ meñ
khulā rakkhā 'iram' ne dil kā darvāza tirī ḳhātir
mirā hī tazkira hogā vafā kī dāstānoñ meñ
mera qissa bhi aaega wafa ki dastanon mein
mujhe mat DhunDte rahna jafa ki dastanon mein
main bint-e-hawwa ek din mein badal dungi zamane ko
mujhe mat qaid kar naz-o-ada ki dastanon mein
nazar-andaz mujh ko kar nahin sakti kabhi duniya
mujhe likkha gaya zehn-e-rasa ki dastanon mein
mera dil toDne wale kabhi socha hai ye tu ne
tera hi nam aaega saza ki dastanon mein
zara puchho hawaon se ki ye kaise moattar hain
mujhe paoge tum baad-e-saba ki dastanon mein
mere shanon pe lahraate hue baalon ko mat chheDo
meri zulfen bhi shamil hain ghaTa ki dastanon mein
khula rakkha 'iram' ne dil ka darwaza teri KHatir
mera hi tazkira hoga wafa ki dastanon mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.