mera ram hai tu rahim hai
mirā raam hai tū rahīm hai
tū azal se dil meñ muqīm hai
mujhe kyā ġharaz hai jahāñ se ab
mirā shyām hai tū nadīm hai
tire haath meñ mirī nabz hai
tū hī de davā tū hakīm hai
tirī rahmatoñ kā hisāb kyā
tū hī shiv hai merā karīm hai
tū yahāñ bhī hai tū vahāñ bhī hai
tū anant hai tū asiim hai
mera ram hai tu rahim hai
tu azal se dil mein muqim hai
mujhe kya gharaz hai jahan se ab
mera shyam hai tu nadim hai
tere hath mein meri nabz hai
tu hi de dawa tu hakim hai
teri rahmaton ka hisab kya
tu hi shiw hai mera karim hai
tu yahan bhi hai tu wahan bhi hai
tu anant hai tu asim hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.