mera soz bhi tarannum meri aah bhi tarana
mirā soz bhī tarannum mirī aah bhī tarānā
mirī zindagī se sīkhe koī ġham meñ muskurānā
ye sitam-tarāz duniyā hai usī kī Thokaroñ meñ
ġham-e-zindagī ko jis ne ġham-e-zindagī na jaanā
na qafas hī mo'atabar hai na chaman se mutma.in dil
vahīñ bijliyāñ bhī hoñgī jahāñ hogā āshiyānā
ise jo banā.e insāñ ise jo samajh le duniyā
yahī zindagī haqīqat yahī zindagī fasāna
kabhī chashm-e-bāġhbāñ meñ kabhī barq kī nazar meñ
kahīñ maiñ khaTak rahā huuñ kahīñ merā āshiyānā
mera soz bhi tarannum meri aah bhi tarana
meri zindagi se sikhe koi gham mein muskurana
ye sitam-taraaz duniya hai usi ki Thokaron mein
gham-e-zindagi ko jis ne gham-e-zindagi na jaana
na qafas hi mo'atabar hai na chaman se mutmain dil
wahin bijliyan bhi hongi jahan hoga aashiyana
ise jo banae insan ise jo samajh le duniya
yahi zindagi haqiqat yahi zindagi fasana
kabhi chashm-e-baghban mein kabhi barq ki nazar mein
kahin main khaTak raha hun kahin mera aashiyana
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.