mera tafakkur ghubar-sochen nikhaarta hai
mirā tafakkur ġhubār-socheñ nikhārtā hai
ki merī āñkhoñ meñ surḳh shabnam utārtā hai
maiñ aaj ḳhauf-e-ḳhudā se mahrūm ho gayā huuñ
ka.ī ḳhudāoñ kā ḳhauf ab mujh ko mārtā hai
Darā rahā hai mujhe vo mere paḌosiyoñ se
mire jigar meñ jo zahr-e-ḳhanjar utārtā hai
mire mohalle meñ mere bhaa.ī jhagaḌ rahe haiñ
udhar koī apne tarkashoñ ko sañvārtā hai
hisār-e-zulmat meñ kab se insāñ bhaTak rahā hai
kisī na.e din ko daur-e-hāzir pukārtā hai
dam-e-sarāfīl hai naqīb-e-jahān-e-nau hai
vo ek jazba ki sar diloñ meñ ubhārtā hai
naved hai ik jahān-e-nau kī isī ke dam se
hamārī rūhoñ meñ irtiqā par sañvārtā hai
mera tafakkur ghubar-sochen nikhaarta hai
ki meri aankhon mein surKH shabnam utarta hai
main aaj KHauf-e-KHuda se mahrum ho gaya hun
kai KHudaon ka KHauf ab mujh ko marta hai
Dara raha hai mujhe wo mere paDosiyon se
mere jigar mein jo zahr-e-KHanjar utarta hai
mere mohalle mein mere bhai jhagaD rahe hain
udhar koi apne tarkashon ko sanwarta hai
hisar-e-zulmat mein kab se insan bhaTak raha hai
kisi nae din ko daur-e-hazir pukarta hai
dam-e-sarafil hai naqib-e-jahan-e-nau hai
wo ek jazba ki sar dilon mein ubhaarta hai
nawed hai ek jahan-e-nau ki isi ke dam se
hamari ruhon mein irtiqa par sanwarta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.