mera wajud samundar nahin main qatra hun
mirā vajūd samundar nahīñ maiñ qatra huuñ
har ek mauj kī āġhosh meñ machaltā huuñ
maiñ musht-e-ḳhāk huuñ gard-o-ġhubār jaisā huuñ
tamām vus.at-e-ālam pe phir bhī chhāyā huuñ
qazā-o-qadr kā manzar mirī nigāh meñ hai
hayāt-var huuñ ajal se nazar milātā huuñ
ye dahshatoñ ke chhalāve ye āfatoñ ke pahāḌ
ḳhudā kā shukr ki is daur meñ bhī zinda huuñ
uḌā.iye na havāoñ meñ merī bātoñ ko
sadā-e-vaqt huuñ maiñ vaqt kā taqāzā huuñ
koī bhī ruup ho pahchān lūñgā maiñ tujh ko
maiñ kā.enāt kī har chiiz se shanāsā huuñ
azal se hai tū mire ilm meñ kī tū kyā hai
batā sake to batā de mujhe ki maiñ kyā huuñ
diloñ meñ utreñ na kyoñ sab ke mere sher 'nashāt'
jo baat kahtā huuñ maiñ tajrabe kī kahtā huuñ
mera wajud samundar nahin main qatra hun
har ek mauj ki aaghosh mein machalta hun
main musht-e-KHak hun gard-o-ghubar jaisa hun
tamam wusat-e-alam pe phir bhi chhaya hun
qaza-o-qadr ka manzar meri nigah mein hai
hayat-war hun ajal se nazar milata hun
ye dahshaton ke chhalawe ye aafaton ke pahaD
KHuda ka shukr ki is daur mein bhi zinda hun
uDaiye na hawaon mein meri baaton ko
sada-e-waqt hun main waqt ka taqaza hun
koi bhi rup ho pahchan lunga main tujh ko
main kaenat ki har chiz se shanasa hun
azal se hai tu mere ilm mein ki tu kya hai
bata sake to bata de mujhe ki main kya hun
dilon mein utren na kyon sab ke mere sher 'nashat'
jo baat kahta hun main tajrabe ki kahta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.