mera wajud usi ki visal-gah mein tha
mirā vajūd usī kī visāl-gāh meñ thā
usī kā vird mire dil kī ḳhānqāh meñ thā
tumhāre qaul-o-qasam par fareb kyā khātā
tumhārā tarz-e-amal bhī mirī nigāh meñ thā
hurūf-e-makr tire lab pe the magar zālim
mujhe fareb bhī khānā vafā kī raah meñ thā
tamām sañg-dilī yā ki phir ġhurūr-o-hasham
kuchh aur us ke sivā bhī jahāñ-panāh meñ thā
Tapak ke dīda-e-nam se sadā.eñ detā hai
jo ek harf-e-tamannā dil-e-tabāh meñ thā
mujhe to raas ai 'ḳhālid' yahī zamīñ aa.ī
ye aur baat mirā zikr mehr-o-māh meñ thā
mera wajud usi ki visal-gah mein tha
usi ka wird mere dil ki KHanqah mein tha
tumhaare qaul-o-qasam par fareb kya khata
tumhaara tarz-e-amal bhi meri nigah mein tha
huruf-e-makr tere lab pe the magar zalim
mujhe fareb bhi khana wafa ki rah mein tha
tamam sang-dili ya ki phir ghurur-o-hasham
kuchh aur us ke siwa bhi jahan-panah mein tha
Tapak ke dida-e-nam se sadaen deta hai
jo ek harf-e-tamanna dil-e-tabah mein tha
mujhe to ras ai 'KHalid' yahi zamin aai
ye aur baat mera zikr mehr-o-mah mein tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.