mera yar jab se rawana hua
mirā yaar jab se ravāna huā
kahīñ bhī na apnā Thikānā huā
ghaḌī-do-ghaḌī kī judā.ī mujhe
lage yuuñ ki jaise zamānā huā
ḳhabar saarī duniyā kī rakhtā thā jo
vo ḳhud se bhī dil se begānā huā
na jaane vo mujh se hai nārāz kyoñ
hai kyā rūThne kā bahānā huā
koī shai bhī duniyā kī bhātī nahīñ
ye dil aisā us kā divānā huā
baḌā jurm hai pyaar karnā yahāñ
ki dushman ye saarā zamānā huā
nayā zaḳhm khāne ko tayyār haiñ
jo khāyā thā pahle purānā huā
jo dekhā use muskurāte hue
mire dil kā mausam suhānā huā
jo dekhā zarā muskurā kar mujhe
mirā hausla phir tavānā huā
mire paas baiTho ghaḌī-do-ghaḌī
ki mausam baḌā āshiqāna huā
mera yar jab se rawana hua
kahin bhi na apna Thikana hua
ghaDi-do-ghaDi ki judai mujhe
lage yun ki jaise zamana hua
KHabar sari duniya ki rakhta tha jo
wo KHud se bhi dil se begana hua
na jaane wo mujh se hai naraaz kyon
hai kya ruThne ka bahana hua
koi shai bhi duniya ki bhati nahin
ye dil aisa us ka diwana hua
baDa jurm hai pyar karna yahan
ki dushman ye sara zamana hua
naya zaKHm khane ko tayyar hain
jo khaya tha pahle purana hua
jo dekha use muskuraate hue
mere dil ka mausam suhana hua
jo dekha zara muskura kar mujhe
mera hausla phir tawana hua
mere pas baiTho ghaDi-do-ghaDi
ki mausam baDa aashiqana hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.