mera yaqin hai wo aaina nikalegi
mirā yaqīn hai vo aa.inā nikālegī
vo naqs mujh meñ hī phir kuchh nayā nikālegī
mujhe bhī kuchh nahīñ kahnā ki ab ḳhamoshī hī
hamāre beach koī rāsta nikālegī
jabīñ pe us kī shikan hai na aañkh meñ paanī
bhalā vo dil se hameñ aur kyā nikālegī
mirī ḳhamoshī kā matlab thā sirf ḳhāmoshī
vo is meñ pahlū magar dūsrā nikālegī
ai duniyā bol magar kuchh nahīñ sunūñgā maiñ
zabāñ se jo bhī tū achchhā burā nikālegī
hameñ na sudh hai na ham dastakeñ hī sunte haiñ
tū apne dil se hameñ kyā bhalā nikālegī
maiñ dūriyoñ meñ bhī nazdīkiyāñ nikāltā huuñ
vo fāsloñ meñ bhī kuchh fāsla nikālegī
mera yaqin hai wo aaina nikalegi
wo naqs mujh mein hi phir kuchh naya nikalegi
mujhe bhi kuchh nahin kahna ki ab KHamoshi hi
hamare beach koi rasta nikalegi
jabin pe us ki shikan hai na aankh mein pani
bhala wo dil se hamein aur kya nikalegi
meri KHamoshi ka matlab tha sirf KHamoshi
wo is mein pahlu magar dusra nikalegi
ai duniya bol magar kuchh nahin sununga main
zaban se jo bhi tu achchha bura nikalegi
hamein na sudh hai na hum dastaken hi sunte hain
tu apne dil se hamein kya bhala nikalegi
main duriyon mein bhi nazdikiyan nikalta hun
wo faslon mein bhi kuchh fasla nikalegi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.