mera ye mulk muqaddas kitab jaisa hai
mirā ye mulk muqaddas kitāb jaisā hai
har ek fard guloñ meñ gulāb jaisā hai
charāġh sab ne jalā.e haiñ amn ke lekin
añdherā vaqt kā ik āftāb jaisā hai
mileñ na haath faqat dil se dil bhī mil jaa.eñ
ye dekhne ko mujhe iztirāb jaisā hai
ajiib ḳhvāb kā hai intizār āñkhoñ ko
ye intizār bhī shāyad ki ḳhvāb jaisā hai
shumār meñ hameñ rakh be-shumār haiñ ham bhī
hameñ gila hī kahāñ hai hisāb jaisā hai
bharosa ab tire va.adoñ kā kyā kareñ saaqī
tirā ye jām-o-subū tak sarāb jaisā hai
tū de rahā hai kahāñ dars-e-ittihād 'asar'
tirā ḳhayāl faqat inqilāb jaisā hai
mera ye mulk muqaddas kitab jaisa hai
har ek fard gulon mein gulab jaisa hai
charagh sab ne jalae hain amn ke lekin
andhera waqt ka ek aaftab jaisa hai
milen na hath faqat dil se dil bhi mil jaen
ye dekhne ko mujhe iztirab jaisa hai
ajib KHwab ka hai intizar aankhon ko
ye intizar bhi shayad ki KHwab jaisa hai
shumar mein hamein rakh be-shumar hain hum bhi
hamein gila hi kahan hai hisab jaisa hai
bharosa ab tere wadon ka kya karen saqi
tera ye jam-o-subu tak sarab jaisa hai
tu de raha hai kahan dars-e-ittihad 'asar'
tera KHayal faqat inqilab jaisa hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.