mere aangan mein pili dhup jab diwar se utri
mire āñgan meñ piilī dhuup jab dīvār se utrī
añdhere kī siyah chādar na jaane aur kyoñ phailī
jalāyā ḳhvāhishoñ ne raat kī tanhā.ī meñ mujh ko
bahut hī duur thī par lazzatoñ kī narm-rau naddī
havā kā haath bhī ab jism terā gudgudā.egā
na so aisī rutoñ meñ khol kar yuuñ raat ko khiḌkī
ye būḌhā peḌ bechāra ḳhamoshī ko tarastā hai
sadā rahtī hai is pe gūñjtī chahkār chiḌiyoñ kī
tirā rangīn paikar ghūmtā hai aañkh meñ jaise
thiraktī Doltī shāḳhoñ pe uḌtī shoḳh sī titlī
kisī karvaT na chain aaya na aa.ī niiñd hī mujh ko
baḌī ġhamnāk ġham-angez kal kī raat thī 'fikrī'
mere aangan mein pili dhup jab diwar se utri
andhere ki siyah chadar na jaane aur kyon phaili
jalaya KHwahishon ne raat ki tanhai mein mujh ko
bahut hi dur thi par lazzaton ki narm-rau naddi
hawa ka hath bhi ab jism tera gudgudaega
na so aisi ruton mein khol kar yun raat ko khiDki
ye buDha peD bechaara KHamoshi ko tarasta hai
sada rahti hai is pe gunjti chahkar chiDiyon ki
tera rangin paikar ghumta hai aankh mein jaise
thirakti Dolti shaKHon pe uDti shoKH si titli
kisi karwaT na chain aaya na aai nind hi mujh ko
baDi ghamnak gham-angez kal ki raat thi 'fikri'
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.