mere aasan se lahje ki mushkil kaun samjhega
mire āsān se lahje kī mushkil kaun samjhegā
usī patthar meñ hai maujūd ik dil kaun samjhegā
udāsī ke sivā rahne khañDar meñ kaun aa.egā
dil-e-vīrāñ kī vīrānī ko mahfil kaun samjhegā
nahīñ hotā vahāñ par bhī jahāñ hotā huuñ maiñ aksar
na honā hai mire hone meñ shāmil kaun samjhegā
musībat kī ghaḌī meñ kaam apne hī to aate haiñ
agar tū hī nahīñ samjhā to ai dil kaun samjhegā
hazāroñ chāhne vāloñ meñ us ke ek maiñ bhī huuñ
ujāloñ meñ bhalā jugnū kī jhilmil kaun samjhegā
mere aasan se lahje ki mushkil kaun samjhega
usi patthar mein hai maujud ek dil kaun samjhega
udasi ke siwa rahne khanDar mein kaun aaega
dil-e-viran ki virani ko mahfil kaun samjhega
nahin hota wahan par bhi jahan hota hun main aksar
na hona hai mere hone mein shamil kaun samjhega
musibat ki ghaDi mein kaam apne hi to aate hain
agar tu hi nahin samjha to ai dil kaun samjhega
hazaron chahne walon mein us ke ek main bhi hun
ujalon mein bhala jugnu ki jhilmil kaun samjhega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.