mere aibon ki islahen hua kin bahas-e-dushman se
mire aiboñ kī islāheñ huā kiiñ bahas-e-dushman se
liyā hai rāhbar kā kaam aksar maiñ ne dushman se
vo motī huuñ jo kho jaatā hai sāhil meñ samundar ke
vo daana huuñ bikhar ke duur hotā hai jo ḳhirman se
fazā sahrā kī āñkhoñ se jo dekheñ haiñ vo kah deñge
gul-e-ḳhud-rau kā aalam kam nahīñ gul-hā-e-gulshan se
kisī kī dostī yuuñ ḳhaak meñ koī milātā hai
mire baare meñ tum aur mashvare lete ho dushman se
tamāshā dekhiye mahshar meñ qātil mujh se laḌtā hai
ki apne ḳhuun kā dhabba chhuḌā de mere dāman se
zamīñ se āsmāñ tak chhā rahī jo ye udāsī hai
bagūla koī uTThā hai kisī bekas ke madfan se
qarīb-e-dar pahuñch kar yuuñ ġhash aane kā sabab āḳhir
ye mumkin hai jhalak us kī nazar aa.ī ho chilman se
har aafat se chaman mahfūz hai ab to ye suntā huuñ
adāvat barq-e-sarsar ko thī mere hī nasheman se
ġharaz kyā bahas-o-hujjat se hamārā to ye mashrab hai
jahāñ tak ho kināre hī rahe shaiḳh-o-barahman se
'hafīz' us ko samajh le ḳhuub haiñ ye kaam kī bāteñ
agar rif.at-talab hai jhuk ke mil har dost dushman se
mere aibon ki islahen hua kin bahas-e-dushman se
liya hai rahbar ka kaam aksar main ne dushman se
wo moti hun jo kho jata hai sahil mein samundar ke
wo dana hun bikhar ke dur hota hai jo KHirman se
faza sahra ki aankhon se jo dekhen hain wo kah denge
gul-e-KHud-rau ka aalam kam nahin gul-ha-e-gulshan se
kisi ki dosti yun KHak mein koi milata hai
mere bare mein tum aur mashware lete ho dushman se
tamasha dekhiye mahshar mein qatil mujh se laDta hai
ki apne KHun ka dhabba chhuDa de mere daman se
zamin se aasman tak chha rahi jo ye udasi hai
bagula koi uTTha hai kisi bekas ke madfan se
qarib-e-dar pahunch kar yun ghash aane ka sabab aaKHir
ye mumkin hai jhalak us ki nazar aai ho chilman se
har aafat se chaman mahfuz hai ab to ye sunta hun
adawat barq-e-sarsar ko thi mere hi nasheman se
gharaz kya bahas-o-hujjat se hamara to ye mashrab hai
jahan tak ho kinare hi rahe shaiKH-o-barahman se
'hafiz' us ko samajh le KHub hain ye kaam ki baaten
agar rifat-talab hai jhuk ke mil har dost dushman se
- Book : Kulliyat-e-Hafeez Jaunpuri (Pg. Ghazal Number-251 Page Number-216)
- Author : Tufail Ahmad Ansari
- Publication : Qaumi Council Baraye Farogh-e-urdu Zaban (2010)
- Edition : 2010
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.