mere andar to ab main bhi kahan hun
mire andar to ab maiñ bhī kahāñ huuñ
bahut din se bas ik ḳhālī makāñ huuñ
banūñgā jaane kin lafzoñ kā paikar
maiñ kāġhaz aur qalam ke darmiyāñ huuñ
bujhā kar bhī mujhe bechain hai vo
ab us kī aañkh meñ chubhtā dhuāñ huuñ
buḌhāpā aa gayā vahshat pe lekin
maiñ sahrā ke liye ab bhī javāñ huuñ
mu'āfī chāhtā huuñ bolne kī
mujhe ehsās hai maiñ bad-zabāñ huuñ
mere andar to ab main bhi kahan hun
bahut din se bas ek KHali makan hun
banunga jaane kin lafzon ka paikar
main kaghaz aur qalam ke darmiyan hun
bujha kar bhi mujhe bechain hai wo
ab us ki aankh mein chubhta dhuan hun
buDhapa aa gaya wahshat pe lekin
main sahra ke liye ab bhi jawan hun
mu'afi chahta hun bolne ki
mujhe ehsas hai main bad-zaban hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.